
25 October 2022

Image Credit: Suchandra Roy Chowdhury at Unsplash
Acha bolo Parveen*, batao na, kaisi rahi Happy Diwali
Kya sunau Rubina! Is baar to humne hadd hi kar dali
Itni badi Rangoli banayi, subah se shaam ho gayi
Rang bharte-bharte, pair kya, kamar bhi so gayi
Diye hum mall se la sakte the, par bilkul bhi nahi
Humne street walon se liye, unki bhi chandi kar di
Manyavar se inka kurta, firstcry se liya lehanga bitiya ka
Aur apni char-paanch ethnic dresses ko customize kara liya
WhatsApp status par filter wale photos nirantar daal diye
Thank you, same to you sab saath ke saath hi nipta diye
Meetha khaaya, par zyada nahi, diet hil jata hai na
Gluten-free daba ke khaaya, aajkal easily mil jata hai na
Patakhe hum ab chalaate nahi, pollution hota hai na
Bas phuljhari wali reel bana li, shagun hota hai na
Aur safai-shafai nahi ki kya Parveen?
Are, uska samay nahi mila, Urbanclap walon se karaya clean
Par na jane kyun, Diwali ki shaam aate-aate, saans phool si gayi
Diye kuchh aakhri jalaate-jalaate, aankh chook si gayi
Kitna karna hai, kya-kya karna hai ki gaadi chhoot na jaye
Ek chhor se dusri aur bhaagte-bhaagte, koi rooth na jaye
Bas isi ghaflat mein ki sab kar rahe hain, hum bhi sahi
Shayad yehi karna hota hoga, kisne suni, kisne kahi
Bas kul-milaake is shorgul mein ek achhi baat thi
Ghar pahunch gaye, bahana hi sahi, par party sabke saath thi!
*yeh rongte baithaane wali shayari humne Farzi Mushaire se sikhi hai :)